KYA KIYA HAI TUNE LYRICS

KYA KIYA HAI TUNE

KYA KIYA HAI TUNE Armaan Malik, Palak Muchhal, Amaal Mallik

Kholi hai khidki maine
Iss naazuk se dil ki
Jaage hain dekho phir se
Khwab hazaar

Banke lehar tu aayi
Rooh se yun takrayi
Sadiyon se tha is pal ke
Liye bekaraar

Kya kiya hai tune
Kya kiya hai tune
Kya kiya hai tune mere yaar

Jo jeene laga hun phir se
Khone laga hun khud se
Kya kiya hai tune mere yaar

Shayad khatam hai ya phir bacha hai
Dil mein kahi pe tumhara intezar
Tu saamne se aise hai guzra
Hone laga hai humko tumse hi pyaar

Sauda yeh do dil’on ka
Lagta hai kuch palon ka
Na hoga yeh humse baar baar

Kya kiya hai tune
Kya kiya hai tune
Kya kiya hai tune mere yaar

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn
Share on whatsapp
WhatsApp
Share on telegram
Telegram
Share on pinterest
Pinterest