Woh toh theek hai jo tum
Zubaan se bata rahe ho
Magar yeh toh kaho
Aankhon mein kya chhupa rahe ho
Bade khile khile se lag rahe lab tumhare
Sach bata kis’se milke aa rahe ho
Kitne vaade karte the tum
Sochun to dil bhar jaaye
Aankhein phir nam ho jaati hain
Yaad teri jab jab aaye
Nadaan tha jo baaton mein teri
Aake dil ko haar diya
Jis dil ne chaha tha tujhko
Us dil pe kyun vaar kiya
O dilbar yaara oh yaara
Na milna daubara dobara
O dilbar yaara oh yaara
Na milna daubara dobara
Apni besharmi pe tujhko
Aati hai kya sharm kabhi
Bichhadne wale mujhko bata tu
Sach mein bichhad kyun jaata nahi
Apni besharmi pe tujhko
Aati hai kya sharm kabhi
Bichadne wale mujhko bata tu
Sach mein bichhad kyun jaata nahi
Naam-e-wafa pe tune yaara
Dhool hai jhonka aankhon mein
Seenche the jinme pyaar ke paudhe
Aag laga di baagon mein
Meer tadapta reh gaya tere
Pairon pe tu palta nahi
Jitna achha tu banta hai
Utna bhi tu achha nahi
O dilbar yaara oh yaara
Na milna daubara dobara
O dilbar yaara oh yaara
Na milna daubara dobara
Taaron bhari raaton mein hum jo
Saath tere rehte the kabhi
Jaane ke bhi baad kyun tere
Raat woh ab tak guzari nahi
Taaron bhari raaton mein hum jo
Sath tere rehte the kabhi
Jaane ke bhi baad kyun tere
Raat woh ab tak guzari nahi
Tasveerein bhi saari teri maine
Jala to daali hain
Kaise karun main ishq yeh phir se
Dil mein jagah na khali hai
Ya toh aake maar de mujhko
Ya yaadon se ho rukhsat
Hone lagi hai dil ko mere
Tere chehre se nafrat
O dilbar yaara oh yaara
Na milna daubara dobara
O dilbar yaara oh yaara
Na milna daubara dobara