ASIFA: NANHI PARI LYRICS

ASIFA: NANHI PARI

ASIFA: NANHI PARI Sonu Nigam

Choti si ik nanhi pari Kashmir mein
Likh ke kya aayi thi woh taqdeer mein

Choti si ik nanhi pari Kashmir mein
Likh ke kya aayi thi wo taqdeer mein
Khoyi thi woh gudiyon ki tabeer mein
Phans gayi par jalladon ki bheed mein
Woh tadapti rahi aur woh hanste rahe
Zulm ke phaans mein usko kasste rahe
Bewajah!

O ho… Kahaan kho gayi tu Asifa
O ho… Kya zindagi thi Asifa

Choti si ik nanhi pari Kashmir mein
Likh ke kya aayi thi woh taqdeer mein

Kya unn darindo ki
Thi nahi koi hum jaisi maa
Kisne sikhaya unhe
Kitni anmol hoti hai jaan
Itni nafrat ko kaise paale hai
Aye Khuda tera aadam bata

O ho… Kahaan kho gayi tu Asifa
O ho… Kya zindagi thi Asifa

 

Shiqwa main kis se karoon
Har taraf itna andher hai
Zaalim Khuda se daro
Bas qayamat ki ab der hai

Wo jo bitiya thi ab naa aayegi
Kya thi uski batao khata

O ho… Kahaan kho gayi tu Asifa
O ho… Kya zindagi thi Asifa ho..
Barbaad ho gayi Asifa
Kya zindagi thi Asifa

Choti si ik nanhi pari Kashmir mein
Phans gayi wo jalladon ki bheed mein

 

"ASIFA: NANHI PARI" Song Info

"ASIFA: NANHI PARI LYRICS" Video
Latest Song Lyrics
Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn
Share on whatsapp
WhatsApp
Share on telegram
Telegram
Share on pinterest
Pinterest