SOCHTA HOON MAIN LYRICS

SOCHTA HOON MAIN

SOCHTA HOON MAIN Sonu Nigam

Sochta hoon main khel ye kya hai
Anjaana sa khel ye kya hai
Khel ye kya hai
Khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Insaan jee ke
Insaan jee ke paata kya hai
Sadiyon se ye raaz chhupa hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai

Hansna rona gaana kya hai
Uthna girna paana kya hai
Hansna rona gaana kya hai
Uthna girna paana kya hai
Bandon ko manwaana kya hai…
Bandon ko manwaana kya hai
Jeena sach hai
Jeena sach hai, ya ek sapna
Sadiyon se ye raaz chhupa hai

Sochta hoon main khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai

Ye din-raat ka phera kyun hai
Dharti rain-basera kyun hai
Ho.. ye din raat ka phera kyun hai
Dharti rain-basera kyun hai
Tan pe umr ka ghera kyu hai…
Tan pe umr ka ghera kyu hai
Pal pal badhti
Pal pal badhti umr ghate kyun
Sadiyon se ye raaz chhupa hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai

Preet ka tana bana kya hai
Rishton mein uljhaana kya hai
Ho.. preet ka tana bana kya hai
Rishton mein uljhaana kya hai
Khud ko hi tadpana kya hai…
Khud ko hi tadpana kya hai
Aankh mein aansoo
Aankh mein aansoo kyu aate hain
Sadiyon se ye raaz chhupa hai

Sochta hoon main khel kya hai
Anjaana sa ye khel ye kya hai
Khel ye kya hai
Khel ye kya hai, Ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Insaan jee ke
Insaan jee ke paata kya hai
Sadiyon se ye raaz chhupa hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Khel ye kya hai…

 

"SOCHTA HOON MAIN" Song Info

"SOCHTA HOON MAIN LYRICS" Video
Latest Song Lyrics
Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn
Share on whatsapp
WhatsApp
Share on telegram
Telegram
Share on pinterest
Pinterest